DiL Me Aik Lehar Si Uthi Hai Abhi
Koii Taaza Hawa ChaLii He Abhii
Shor Barpaa Hay Khaana-e-Dill Mey
Koii Deevaar Sii Giri Hay Abhii
Kuchh To Naazuk Mizaajj Hein Hamm Bhii
Aur Yeh Chot Bhee Nayi Hey Abhii
Bharii Duniya Mein Jee Nahain Lagtaa
Jaanay Kiss Cheez Kee Kammi He Abhi
Tu Shareek-e-Sukhan Nahein Hai To Kiyaa
Hum-Sukhan Terii Khaamoshii He Abhii
Yaad Ke Be-Nishaan Jazeeroo'n Sey
Terii Aawaz Aa Rahi Hay Abhi
Shehar Kii BeCharagha Gallyioo'n May
ZindaGii Tujhh Ko Dhoondtii He Abhi
So Gaye LOG Uss Havellii Kay
Aik Khirkii MaGar KhuLLii Hai Abhi
Tum To Yaaro Abhi Say Uth Baithay
Shehar Mey Raat JaaGti Hai Abhee..??
No comments:
Post a Comment