Showing posts with label poetry. Show all posts
Showing posts with label poetry. Show all posts

Monday, 14 March 2016

Aik Shair




















Main to pehron tumhen sochti rehti hon
Tumhen aik lamhy k liey b mera khyal nahi ata?

Udas Logon Se Payar Karna Koi To Sekhey

Udas logon se payar karna koi to sekhey
Sufaid lamhon me rang bharna koi to sekhey

Koi to aye khizaan me patey uganey wala
Gulon ki khusbo ko qaid karna koi to sekhey

Koi dikhaye mohabaton chiragh mujhko
Meri nigaahon se baat karna koi to sekhey

Koi to aye nai ruton ka paigham ly kar
Andehri raton ko me chand ban'na koi to sekhey

Hum Ghazal Me B Hunar Yar K Rakh Daity Hen


























Sab qareney usi dildaar k rakh daity hen
Hum ghazal me b hunar yar k rakh daity hen

Shyd aa jain kbhi chasm-e-kharidar me hum
Jan-o-dil baich k bazar me rakh daity hen

Zikar-e-Jana me ye dunia ko kahan ly aaye
Log kiun mas'aley bekaar k rakh daity hen

Hum to chahat me b Ghalib k muqlid hen Faraz
Jis py marty hen usy mar k rakh daity hen

Sad Ghazal by Parveen Shakir "Chara-gar Har Gaya ho Jaise"

















Chaara-gar har gaya ho jaise
Ab to marna he dawa ho jaise

Mujh se bichra tha wo pehly b magar
Ab k yeh zakham naya ho jaise

Mere mathey py tere payar ka hath
Rouh per dast-e-saba ho jaise

Youn bohat hans k mila tha lakin
Dil he dil me wo khafa ho jaise

Sar chupaen to badan khulta hy
Zeest muflis ki rida ho jaise 

Sad Ghazal "Tum Bin Udas Hon"



Dukh hon, Dard hon, Saaz hon,
Ya beetey dino ki awaz hon,
Main jo kuch b hon, Jo koi b hon,
"Tum Bin Udas Hon"

Sunday, 13 March 2016

Sary Jhagrey Ana K Hoty Hen





















Qurb k na wafa k hoty hen
Sary jhagrey ana k hoty hen

Bat niyat ki hy sirf warna
Waqt sary dua k hoty hen

Bhool jaty hen mat bura kehna
Log putley khata k hoty hen

Woh jo bazahir kuch nahi lagty
Un se rishty bala k hoty hen

Woh hamara hy is trah se Faiz
Jaise bandy khuda k hoty hen