Urdu poetry, Urdu shayari, Sad poetry, love poetry, sad shayari, urdu sms, hindi sms, Most updated urdu poetry website, Most updated Hindi poetry website
Showing posts with label ghazal. Show all posts
Showing posts with label ghazal. Show all posts
Monday, 28 March 2016
Sad Ghazal "Yad Rakhy Ge Dunya"
Mutma'en hon k yad rakhy ge dunya
jab bhi is shehar ki tareekh-e-wafa likhy ge
Mere ghar k dar-o-devar mujhe sochain gay
wosat-e-dashat mujhe aabla paa likhy ge
Mera matam isi chup chap fiza me ho ga
mera noha inhi galion ki hawa likhy ge
Love Ghazal "Aisa Ho Sakta Hy Na?"
Aisa ho sakta hy na?
k main ny jan lia ho
tujhe teri zaat ki gehrai tak
tere mahal se ly kar tanhai tak
aisa ho sakta hy na?
k main ny bohat karb saha ho
tere sitam se ly kar
teri masehai tak
Aur aisa bhi to ho sakta hy na?
k tujhe koi dukh na ho
mere milnay se ly kar
meri judai tak
han yaqeen kro
aisa ho sakta hy shyd
k umar bhar k liey kafi ho
yeh dukh k main ne safar kiya
apni zaat se ly kar
teri zaat ki rasaai tak...!
Friday, 25 March 2016
Love Ghazal For Girlfriend "Abhi Is Taraf Na Nigah Kar"

Abhi is taraf na nigah kar Main ghazal ki palkain sanwar lon
Mera lafaz lafaz ho aaina tujhe aainey me utar lon
Main tamam din ka thaka hua tu tamam shab ka jaga hua
Zara tehar ja isi mor par tere sath sham guzar lon
Agar asman ki numaishon me mujhe bhi azan qiyam ho
to main motioun ki dukan se teri balian tere haar lon
Kahen or bant dy sohratain kahen or bakash dy izatain
Mere pas hy mera aaina main kabhi na gard-o-gubar lon
Kai ajnabi teri rah me mere pas se youn guzar gaey
Jinhen dekh kar yeh tarap hui tera naam ly k pukar lon
Thursday, 17 March 2016
Sad Urdu Ghazal "Tujhse Tere Kochey Se Agar Door Huey Hen"
Tujh se tere kochey se agar door huey hen
dewanay tere aur bhi mashoor huey hen
Tum apni jafa'on ki isey jeet na samjho
hum ishq k adab se majboor huey hen
Chaho to hamen aj bhi sooli py charha do
kuch log to har dour me mansoor huey hen
Kanto ki murawat ny kabhi sath na chora
pholon ki mulaqat se ranjoor huey hen
Her sang-e-mulamat se mulaqat hui hy
hum jab se tere shehar me mashoor huey hen
Lou shama-e-mohabbat ki Raees or barha do
ewan-e-wafa suntey hen benoor huey hen
Wednesday, 16 March 2016
Sad Poetry by "Parveen Shahkir" Be Faiz Rafaqat Mein Samar Kis K Liey Tha

Be faiz rafaqat me samar kis k liey tha
Jab dhop thi qismat to shjar kis k liey tha
Pardes me sona tha to chat kis liey dali
Bahir he nikalna tha to ghar kis k liey tha
Jis khak se phota hy usi khak ki khusbo
Pehchan na paya to hunar kis k liey tha
Aye madar-e-geti teri hairat bhi baja hy
Tere he kam na aya to sar kis k liey tha
Youn sham ki dahshat me sar-e-dashat irada
Rukna tha to phir sara safar kis k liey tha
Sad Ghazal by Noshi Gilani

Tere harf-o-lab ka talism tha, meri aab-o-tab me reh gaya
Woh kisi gulab ka jism tha, jo meri kitab me reh gaya
Woh kisi gulab ka jism tha, jo meri kitab me reh gaya
Main kahan sarapa-e-naz thi, mujhe yad hy shab-e-tairge
Yeh kisi k lams ka mojaza, jo mere shabab me reh gaya
Meri bat bat me roshni, mere harf harf me dilkashi
Tu mere sharek-e-visal-e-jan, meri har kitab me reh gaya
Dil-e-khush guman teri khair ho, tu hy phir yaqeen ki saleeb per
Tujhe phir kisi se shikayatain, tu isi azab me reh gaya
Tujhe kia mila dil-e-mubtala, na koi dua na kahen wafa
Magar aik arsa-e-raigan, jo tere hisab me reh gaya
Tha ajeeb alam-e-bedili, tha kahen taqaza-e-dilbari
Woh zara sa pas-e-juno kahen, shab-e-mehtab me reh gaya
Woh jo mera ehad-e-jamal tha, woh jo mera shehar-e-khayal tha
Magar us ka zikar-e-kamal bhi, kahen harf-e-khawab me reh gaya
Tuesday, 15 March 2016
Sad Ghazal "Mere Be Khawab Se Kehna"
Mere be-khawab se kehna!
K us ne meri ankhon me
Yeh kesa hijar likha hy
K main b so nahi paati
Meri ankhon me dukh sehra
sulagtey hen
Magar main ro nahi paati
Main apne bakhat ka likha
Laho se dho nahi pati
Love Ghazal "Mujhe Koi Sham Udhar Do"
Tumhen jab milein kabhi fursatain mere dil se bojh utar do
Main bohat dino se udas hon mujhe koi sham udhar do
Mujhe apne roop ki dhop do k chamak saken mere khad-o-khal
Mujhe apne rang me rang do mere sary rang utar do
Kisi aur ko mere haal se na gharaz hy koi na koi wasta
Main bikhar gaya hon simait do main bigar gaya hon sanwar do
Meri wehshaton ko barha dia hy judaion k azab ne
Mere dil py hath rakho zara meri dharkano ko qarar do
Tumhen subha kesi lagi meri khawahishon k diyar ki
Jo bhali lagi to yahen raho isy chahaton se sanwar do
Wahan ghar me kon hy muntazir k fikar ho dair sawair ki
Bari mukhtasar c yeh rat hy isy chandani me guzar do
Monday, 14 March 2016
Love Ghazal "Woh Payar Karta To"
Main qadren sab luta deti, woh aitbar karta to
Han main sab luta deti, gar woh payar karta to
Udasi mujhe uski qat'an ganwara na thi
Main ho jati ghayal, gar woh waar karta to
Main chun chun k phool barsati us par
Per mere naam koiwoh bahar karta to
Ana py chot sehna dushwar to hai
Main har jati agar woh takrar karta to
Sunday, 13 March 2016
Sary Jhagrey Ana K Hoty Hen

Qurb k na wafa k hoty hen
Sary jhagrey ana k hoty hen
Bat niyat ki hy sirf warna
Waqt sary dua k hoty hen
Bhool jaty hen mat bura kehna
Log putley khata k hoty hen
Woh jo bazahir kuch nahi lagty
Un se rishty bala k hoty hen
Woh hamara hy is trah se Faiz
Jaise bandy khuda k hoty hen
Subscribe to:
Posts (Atom)