Friday 25 March 2016

Love Ghazal For Girlfriend "Abhi Is Taraf Na Nigah Kar"



Abhi is taraf na nigah kar Main ghazal ki palkain sanwar lon
   Mera lafaz lafaz ho aaina tujhe aainey me utar lon
   Main tamam din ka thaka hua tu tamam shab ka jaga hua
   Zara tehar ja isi mor par tere sath sham guzar lon
   Agar asman ki numaishon me mujhe bhi azan qiyam ho
   to main motioun ki dukan se teri balian tere haar lon
   Kahen or bant dy sohratain kahen or bakash dy izatain
   Mere pas hy mera aaina main kabhi na gard-o-gubar lon
   Kai ajnabi teri rah me mere pas se youn guzar gaey
   Jinhen dekh kar yeh tarap hui tera naam ly k pukar lon

No comments:

Post a Comment