Sunday 27 March 2016

Romantic Ghazal "Aksar Pagal Ho Jatay Hain"


Ishq mohabbat karny waly aksar pagal ho jaty hain
Aisi aag me jalny waly aksar pagal ho jaty hain

Hum un k dewaney kiun hain kaise ye smjhain tmko
Un ki ankhain parhnay waly aksar pagal ho jaty hain

Kho daity hain hosh jo zaid unko to ilzam na dena
Teri ghazalien parhnay waly aksar pagal ho jaty hain

No comments:

Post a Comment