Showing posts with label urdu ghazal. Show all posts
Showing posts with label urdu ghazal. Show all posts

Thursday, 14 April 2016

Main Bhi Kitni Pagal Hon Na



http://ghazalien.blogspot.com/2016/04/dil-ki-khamoshe.html






??? ??? ???? ???? ??? ?? ??? ??? ?? ???? ?????
???? ?? ?? ???? ????
???? ???? ????? ????? ?????? ??
?? ??? ??? ?? ???? ???? ?????
????? ?????? ?? ????? ??? ???
???? ??? ?? ???? ????? ???? ?? ?? ??
???? ??
???? ??? ??? ???? ????? ???? ??
???? ???? ???? ???? ??? ??? ????
????? ??? ??? ???? ???? ??? ??
???? ???? ?? ????? ?? ???
????? ???? ????? ????? ????
????? ?? ???? ??
???? ???? ??? ????? ????? ?????
??? ?????? ????
??? ??? ???? ???? ??? ??? ???? ???
??? ???? ????? ???? ????? ???? ?? ??
??? ??? ?? ???? ?????

Wednesday, 30 March 2016

Love Ghazal By Basheer Badar "Mujhe Saray Ranj Qabool Hain"


Mujhe saray ranj qabool hain usi aik shakash k payar me
meri zeest k kisi morr par jo mujhe mila tha bahar me
Wohi ik umeed hy akhri usi aik shama se roshni
koi or us k siwa nahi meri khawahishon k diyar me
Woh yeh jantay thy k asmano k faisaley hen kuch or hi
so sitarey dekh k hans parrey mujhe teri bahon me k har me
Yeh to sirf soch ka farq hy yeh to sirf bakhat ki bat hai
koi fasla to nahi teri jeet me meri har me
Zara dekh shehar ki ronaqon se paray bhi koi jahan hai
kisi sham koi diya jala kisi dil jalay k mizar me
Kisi cheez me koi zaiqa koi lutf baqi raha nahi
na teri talab gudaz me na mere hunar k waqar me

Monday, 28 March 2016

Safar-e-Ishq "Meri Ankhon Se Mat Pocho"


Meri ankhon se 
Mat pocho
Karb k samandar ka
Bikharna hai kaisa
Bachpan me jo sikhaya tha
Guria ko sajana
Rait k gharonday banana
Sabar ki char devari me
Ansuon se payar gondhna
Maa sab janti ho tum
Meri ankhon se mat pocho

Sunday, 27 March 2016

Ghazal by Basheer Badar "Itna Mat Chaho Usy Wo Bewafa Ho Jae Ga"


Sar jhukao gay to pathar devta ho jae ga
Itna mat chaho usy wo bewafa ho jae ga

Hum bhi drya hen hamen apna hunar maloom hai
Jis taraf bhi chal parren gay raasta ho jae ga

Kitni sachai se mujh se zindage ny keh dia
Tu nahi mera to koi doosra ho jae ga

Sab usi k hen Hawa, Khushboo, Zamen O Asman
Main jahan bhi jaun ga us ko pata ho jae ga

Romantic Ghazal "Aksar Pagal Ho Jatay Hain"


Ishq mohabbat karny waly aksar pagal ho jaty hain
Aisi aag me jalny waly aksar pagal ho jaty hain

Hum un k dewaney kiun hain kaise ye smjhain tmko
Un ki ankhain parhnay waly aksar pagal ho jaty hain

Kho daity hain hosh jo zaid unko to ilzam na dena
Teri ghazalien parhnay waly aksar pagal ho jaty hain

Saturday, 26 March 2016

Love Ghazal "Agar Mujhse Mohabbat Nahi"



                       Agar mujh se mohabbat nahi
                      To rotay kiun ho,
                      Tanhai me mere barey me,
                      Sochtay kiun ho,
                      Agar manzil judai hai,
                      To jany do mujhe.
                      Lout kar kab aao gay,
                      Pochtay kiun ho.

Friday, 25 March 2016

Romantic Ghazal by Farzana Naina "Misal-e-Barg main khod ko urana chahati hon"


Misal-e-Barg main khod ko urana chahati hon
Hawa-e-tund py maskan bnana chahati hon
Woh jin ki ankhon me hota hy zindagi me malal
Usi qabelay se khod ko milana chahati hon
Jahan k band hen sadion se mujh py darwazay
Main aik bar usi ghar me jana chahati hon
Sitam shuar ki chokhat py adal ki zanjeer
Bra-e-Dadrasi ab hilana chahati hon
Na janay kesay guzaron ge hijar ki sa'at
Ghari ko tor k sab bhool jana chahati hon
Musafton ko mili manzil-e-talab "Naina"
Wafa ki rah me apna tihkana chahati hon

Love Ghazal For Girlfriend "Abhi Is Taraf Na Nigah Kar"



Abhi is taraf na nigah kar Main ghazal ki palkain sanwar lon
   Mera lafaz lafaz ho aaina tujhe aainey me utar lon
   Main tamam din ka thaka hua tu tamam shab ka jaga hua
   Zara tehar ja isi mor par tere sath sham guzar lon
   Agar asman ki numaishon me mujhe bhi azan qiyam ho
   to main motioun ki dukan se teri balian tere haar lon
   Kahen or bant dy sohratain kahen or bakash dy izatain
   Mere pas hy mera aaina main kabhi na gard-o-gubar lon
   Kai ajnabi teri rah me mere pas se youn guzar gaey
   Jinhen dekh kar yeh tarap hui tera naam ly k pukar lon

Wednesday, 16 March 2016

Sad Ghazal by Noshi Gilani





























Tere harf-o-lab ka talism tha, meri aab-o-tab me reh gaya
Woh kisi gulab ka jism tha, jo meri kitab me reh gaya
Main kahan sarapa-e-naz thi, mujhe yad hy shab-e-tairge
Yeh kisi k lams ka mojaza, jo mere shabab me reh gaya
Meri bat bat me roshni, mere harf harf me dilkashi
Tu mere sharek-e-visal-e-jan, meri har kitab me reh gaya
Dil-e-khush guman teri khair ho, tu hy phir yaqeen ki saleeb per
Tujhe phir kisi se shikayatain, tu isi azab me reh gaya
Tujhe kia mila dil-e-mubtala, na koi dua na kahen wafa
Magar aik arsa-e-raigan, jo tere hisab me reh gaya
Tha ajeeb alam-e-bedili, tha kahen taqaza-e-dilbari
Woh zara sa pas-e-juno kahen, shab-e-mehtab me reh gaya
Woh jo mera ehad-e-jamal tha, woh jo mera shehar-e-khayal tha
Magar us ka zikar-e-kamal bhi, kahen harf-e-khawab me reh gaya

Tuesday, 15 March 2016

Sad Ghazal "Mere Be Khawab Se Kehna"

























Mere be-khawab se kehna!
K us ne meri ankhon me
Yeh kesa hijar likha hy
K main b so nahi paati
Meri ankhon me dukh sehra
sulagtey hen
Magar main ro nahi paati
Main apne bakhat ka likha
Laho se dho nahi pati

Love Ghazal "Mujhe Koi Sham Udhar Do"

























Tumhen jab milein kabhi fursatain mere dil se bojh utar do
Main bohat dino se udas hon mujhe koi sham udhar do

Mujhe apne roop ki dhop do k chamak saken mere khad-o-khal
Mujhe apne rang me rang do mere sary rang utar do

Kisi aur ko mere haal se na gharaz hy koi na koi wasta
Main bikhar gaya hon simait do main bigar gaya hon sanwar do

Meri wehshaton ko barha dia hy judaion k azab ne
Mere dil py hath rakho zara meri dharkano ko qarar do

Tumhen subha kesi lagi meri khawahishon k diyar ki
Jo bhali lagi to yahen raho isy chahaton se sanwar do

Wahan ghar me kon hy muntazir k fikar ho dair sawair ki
Bari mukhtasar c yeh rat hy isy chandani me guzar do

Monday, 14 March 2016

Love Ghazal "Woh Payar Karta To"



















Main qadren sab luta deti, woh aitbar karta to
Han main sab luta deti, gar woh payar karta to

Udasi mujhe uski qat'an ganwara na thi
Main ho jati ghayal, gar woh waar karta to

Main chun chun k phool barsati us par
Per mere naam koiwoh bahar karta to

Ana py chot sehna dushwar to hai
Main har jati agar woh takrar karta to

Udas Logon Se Payar Karna Koi To Sekhey

Udas logon se payar karna koi to sekhey
Sufaid lamhon me rang bharna koi to sekhey

Koi to aye khizaan me patey uganey wala
Gulon ki khusbo ko qaid karna koi to sekhey

Koi dikhaye mohabaton chiragh mujhko
Meri nigaahon se baat karna koi to sekhey

Koi to aye nai ruton ka paigham ly kar
Andehri raton ko me chand ban'na koi to sekhey

Hum Ghazal Me B Hunar Yar K Rakh Daity Hen


























Sab qareney usi dildaar k rakh daity hen
Hum ghazal me b hunar yar k rakh daity hen

Shyd aa jain kbhi chasm-e-kharidar me hum
Jan-o-dil baich k bazar me rakh daity hen

Zikar-e-Jana me ye dunia ko kahan ly aaye
Log kiun mas'aley bekaar k rakh daity hen

Hum to chahat me b Ghalib k muqlid hen Faraz
Jis py marty hen usy mar k rakh daity hen

Sad Ghazal by Parveen Shakir "Chara-gar Har Gaya ho Jaise"

















Chaara-gar har gaya ho jaise
Ab to marna he dawa ho jaise

Mujh se bichra tha wo pehly b magar
Ab k yeh zakham naya ho jaise

Mere mathey py tere payar ka hath
Rouh per dast-e-saba ho jaise

Youn bohat hans k mila tha lakin
Dil he dil me wo khafa ho jaise

Sar chupaen to badan khulta hy
Zeest muflis ki rida ho jaise 

Sad Ghazal "Tum Bin Udas Hon"



Dukh hon, Dard hon, Saaz hon,
Ya beetey dino ki awaz hon,
Main jo kuch b hon, Jo koi b hon,
"Tum Bin Udas Hon"

Sunday, 13 March 2016

Sary Jhagrey Ana K Hoty Hen





















Qurb k na wafa k hoty hen
Sary jhagrey ana k hoty hen

Bat niyat ki hy sirf warna
Waqt sary dua k hoty hen

Bhool jaty hen mat bura kehna
Log putley khata k hoty hen

Woh jo bazahir kuch nahi lagty
Un se rishty bala k hoty hen

Woh hamara hy is trah se Faiz
Jaise bandy khuda k hoty hen

Monday, 2 December 2013

Urdu Dream Ghazal Dream Urdu Shayari

Urdu Dream Ghazal Dream Urdu Shayari
    Aik Khuwaab MiLa Hum Ko Ta'abeer Naa MiLL PaAii
HaaLaat BadaL Saktay Woh TaddBeer Na MiLL PaAii
Aik Khuwaab MiLLa Hum Ko Ta'abeer Naa MiLL PaAii
Be-Dard ZaMaaNaa Thha, Be-Dard Mohabbat Thii
Raanjhay Kee Tarhaan Roye Par Heer Naa MiLee
Jo "DiL" Ko Sakoon Daitee Har Dard BhooLaa Daitee
Nazroon Ko Koe Aesi Tasweeer Naa MiLL PaAii
ZindaGii Kay Har KheL Mey HuM HaaReay
Har Dard MiLa HuM Ko TaQseer Naa MiLL PaAii..??

Sad GhazaLs Sad Urdu GhazaL Poetry And Shayari Dasht O Darya

Sad GhazaLs Sad Urdu GhazaL Poetry And Shayari Dasht O Darya
Dashat-O-Daryaa Say Guzarna Ho Kay Ghar Mey Rehnna Ho
Abb Toh Harr HaaL Mey Hay Hum Ko Safar Mey Rehna
DiL Ko Harr PaL Kissi Jaadoo Key Asar May Rehnaa
Khud Seay NikLay To Kissi Aur Kay Darr Meiy Rehna
Sheher-e-Gham Daikh TeiRi Aab_O_Hawwaa KhushaQ Naa Ho
Raas Aata Hay Ussay Deedaa-e-Tarr Mein Rehna
FeisLay SaaRey Ussi Key Hain HaMaaRi Baabat
Akhtiyaar Apna Buss itnaa Kay Khabar May Rehnna
Toottnaa Yoon Toh MuaQddar Hai MaGar Kuch Lamheay
PhooLoon Kee Tarhaan Muyyasar Ho Shajar Mein Rehna
Ta'aer-r-Jaan Kay Guzarnay Sey Bara Saanihaa Hai
ShoaQ-e-Parwaaz Kaa Toottay Huwway Par Mey Rehna..??