Showing posts with label sad urdu ghazal. Show all posts
Showing posts with label sad urdu ghazal. Show all posts

Monday, 11 April 2016

Meri Ankhain Kharedo Gay



!??? ????
???? ?????? ????? ??????
??? ????? ???? ???
???? ????? ???? ???
???? ??? ?? ??? ?? ??
??? ????? ??? ?? ??? ??
?? ???? ???? ?? ??????
???? ?? ??? ?? ??? ??
???? ????? ???? ??? ??? ???
?? ??? ????
!??? ???? ?????
???? ??? ??? ?? ??????
??? ????? ?? ?????
???? ??? ?????? ???
???? ??? ?? ??? ?? ????? ??
?? ??? ????
????? ?? ???
?? ????? ??? ??? ???
!??? ????
??? ????? ??? ??? ??
???? ?? ??? ?? ??????
??? ?? ????? ??? ?? ??
???? ??? ???? ?? ????? ????? ??

Wednesday, 30 March 2016

Love Ghazal By Basheer Badar "Mujhe Saray Ranj Qabool Hain"


Mujhe saray ranj qabool hain usi aik shakash k payar me
meri zeest k kisi morr par jo mujhe mila tha bahar me
Wohi ik umeed hy akhri usi aik shama se roshni
koi or us k siwa nahi meri khawahishon k diyar me
Woh yeh jantay thy k asmano k faisaley hen kuch or hi
so sitarey dekh k hans parrey mujhe teri bahon me k har me
Yeh to sirf soch ka farq hy yeh to sirf bakhat ki bat hai
koi fasla to nahi teri jeet me meri har me
Zara dekh shehar ki ronaqon se paray bhi koi jahan hai
kisi sham koi diya jala kisi dil jalay k mizar me
Kisi cheez me koi zaiqa koi lutf baqi raha nahi
na teri talab gudaz me na mere hunar k waqar me

Monday, 28 March 2016

Sad Ghazal "Yad Rakhy Ge Dunya"


Mutma'en hon k yad rakhy ge dunya
jab bhi is shehar ki tareekh-e-wafa likhy ge
Mere ghar k dar-o-devar mujhe sochain gay
wosat-e-dashat mujhe aabla paa likhy ge
Mera matam isi chup chap fiza me ho ga
mera noha inhi galion ki hawa likhy ge

Saturday, 26 March 2016

Love Ghazal "Agar Mujhse Mohabbat Nahi"



                       Agar mujh se mohabbat nahi
                      To rotay kiun ho,
                      Tanhai me mere barey me,
                      Sochtay kiun ho,
                      Agar manzil judai hai,
                      To jany do mujhe.
                      Lout kar kab aao gay,
                      Pochtay kiun ho.

Thursday, 17 March 2016

Sad Urdu Ghazal "Tujhse Tere Kochey Se Agar Door Huey Hen"


Tujh se tere kochey se agar door huey hen
    dewanay tere aur bhi mashoor huey hen
Tum apni jafa'on ki isey jeet na samjho
hum ishq k adab se majboor huey hen
Chaho to hamen aj bhi sooli py charha do
kuch log to har dour me mansoor huey hen
Kanto ki murawat ny kabhi sath na chora
pholon ki mulaqat se ranjoor huey hen
Her sang-e-mulamat se mulaqat hui hy
hum jab se tere shehar me mashoor huey hen
Lou shama-e-mohabbat ki Raees or barha do
ewan-e-wafa suntey hen benoor huey hen

2 Lines Love Poetry "Rukh-e-Yar"


Rukh-e-Yar per yeh zulfain youn bikhar rhe hen jaise
   Kabhi din nikal raha hy, kabhi rat ho rhe hy

Wednesday, 16 March 2016

Sad Poetry by "Parveen Shahkir" Be Faiz Rafaqat Mein Samar Kis K Liey Tha






Be faiz rafaqat me samar kis k liey tha
Jab dhop thi qismat to shjar kis k liey tha

Pardes me sona tha to chat kis liey dali
Bahir he nikalna tha to ghar kis k liey tha

Jis khak se phota hy usi khak ki khusbo
Pehchan na paya to hunar kis k liey tha

Aye madar-e-geti teri hairat bhi baja hy
Tere he kam na aya to sar kis k liey tha

Youn sham ki dahshat me sar-e-dashat irada
Rukna tha to phir sara safar kis k liey tha

Sad Ghazal by Noshi Gilani





























Tere harf-o-lab ka talism tha, meri aab-o-tab me reh gaya
Woh kisi gulab ka jism tha, jo meri kitab me reh gaya
Main kahan sarapa-e-naz thi, mujhe yad hy shab-e-tairge
Yeh kisi k lams ka mojaza, jo mere shabab me reh gaya
Meri bat bat me roshni, mere harf harf me dilkashi
Tu mere sharek-e-visal-e-jan, meri har kitab me reh gaya
Dil-e-khush guman teri khair ho, tu hy phir yaqeen ki saleeb per
Tujhe phir kisi se shikayatain, tu isi azab me reh gaya
Tujhe kia mila dil-e-mubtala, na koi dua na kahen wafa
Magar aik arsa-e-raigan, jo tere hisab me reh gaya
Tha ajeeb alam-e-bedili, tha kahen taqaza-e-dilbari
Woh zara sa pas-e-juno kahen, shab-e-mehtab me reh gaya
Woh jo mera ehad-e-jamal tha, woh jo mera shehar-e-khayal tha
Magar us ka zikar-e-kamal bhi, kahen harf-e-khawab me reh gaya

Tuesday, 15 March 2016

Sad Ghazal "Mere Be Khawab Se Kehna"

























Mere be-khawab se kehna!
K us ne meri ankhon me
Yeh kesa hijar likha hy
K main b so nahi paati
Meri ankhon me dukh sehra
sulagtey hen
Magar main ro nahi paati
Main apne bakhat ka likha
Laho se dho nahi pati

Love Ghazal "Mujhe Koi Sham Udhar Do"

























Tumhen jab milein kabhi fursatain mere dil se bojh utar do
Main bohat dino se udas hon mujhe koi sham udhar do

Mujhe apne roop ki dhop do k chamak saken mere khad-o-khal
Mujhe apne rang me rang do mere sary rang utar do

Kisi aur ko mere haal se na gharaz hy koi na koi wasta
Main bikhar gaya hon simait do main bigar gaya hon sanwar do

Meri wehshaton ko barha dia hy judaion k azab ne
Mere dil py hath rakho zara meri dharkano ko qarar do

Tumhen subha kesi lagi meri khawahishon k diyar ki
Jo bhali lagi to yahen raho isy chahaton se sanwar do

Wahan ghar me kon hy muntazir k fikar ho dair sawair ki
Bari mukhtasar c yeh rat hy isy chandani me guzar do

Monday, 14 March 2016

Love Ghazal "Woh Payar Karta To"



















Main qadren sab luta deti, woh aitbar karta to
Han main sab luta deti, gar woh payar karta to

Udasi mujhe uski qat'an ganwara na thi
Main ho jati ghayal, gar woh waar karta to

Main chun chun k phool barsati us par
Per mere naam koiwoh bahar karta to

Ana py chot sehna dushwar to hai
Main har jati agar woh takrar karta to

Udas Logon Se Payar Karna Koi To Sekhey

Udas logon se payar karna koi to sekhey
Sufaid lamhon me rang bharna koi to sekhey

Koi to aye khizaan me patey uganey wala
Gulon ki khusbo ko qaid karna koi to sekhey

Koi dikhaye mohabaton chiragh mujhko
Meri nigaahon se baat karna koi to sekhey

Koi to aye nai ruton ka paigham ly kar
Andehri raton ko me chand ban'na koi to sekhey

Hum Ghazal Me B Hunar Yar K Rakh Daity Hen


























Sab qareney usi dildaar k rakh daity hen
Hum ghazal me b hunar yar k rakh daity hen

Shyd aa jain kbhi chasm-e-kharidar me hum
Jan-o-dil baich k bazar me rakh daity hen

Zikar-e-Jana me ye dunia ko kahan ly aaye
Log kiun mas'aley bekaar k rakh daity hen

Hum to chahat me b Ghalib k muqlid hen Faraz
Jis py marty hen usy mar k rakh daity hen

Sad Ghazal by Parveen Shakir "Chara-gar Har Gaya ho Jaise"

















Chaara-gar har gaya ho jaise
Ab to marna he dawa ho jaise

Mujh se bichra tha wo pehly b magar
Ab k yeh zakham naya ho jaise

Mere mathey py tere payar ka hath
Rouh per dast-e-saba ho jaise

Youn bohat hans k mila tha lakin
Dil he dil me wo khafa ho jaise

Sar chupaen to badan khulta hy
Zeest muflis ki rida ho jaise 

Sad Ghazal "Tum Bin Udas Hon"



Dukh hon, Dard hon, Saaz hon,
Ya beetey dino ki awaz hon,
Main jo kuch b hon, Jo koi b hon,
"Tum Bin Udas Hon"